un ke sine pe rakh ke sar humne
By vikas-naseebMarch 1, 2024
un ke sine pe rakh ke sar hum ne
tai kiya raat ka safar hum ne
un ke chehre ko dekh kar hum ne
chand dekha na 'umr bhar hum ne
'umr hum ne badha li hai apni
dal ke un pe ek nazar hum ne
ho gai hum pe mehrban qudrat
ja ke jab chuma un ka dar hum ne
un ki yaadon ko un ke khwabon ko
chun liya apna ham-safar hum ne
'umr bhar jo kabhi na kam hoga
un pe chhoda hai wo asar hum ne
un ka bosa liya tasalli se
pyar se tham ke kamar hum ne
tai kiya raat ka safar hum ne
un ke chehre ko dekh kar hum ne
chand dekha na 'umr bhar hum ne
'umr hum ne badha li hai apni
dal ke un pe ek nazar hum ne
ho gai hum pe mehrban qudrat
ja ke jab chuma un ka dar hum ne
un ki yaadon ko un ke khwabon ko
chun liya apna ham-safar hum ne
'umr bhar jo kabhi na kam hoga
un pe chhoda hai wo asar hum ne
un ka bosa liya tasalli se
pyar se tham ke kamar hum ne
90913 viewsghazal • English