un lamhon ko guzre bhi ab ek zamana bit gaya
By swati-sani-reshamFebruary 29, 2024
un lamhon ko guzre bhi ab ek zamana bit gaya
aadhi adhuri baaten kar ke chala wo mera mit gaya
sawan ki bhigi raaton mein pedon ki thandi chhanw mein
lafzon mein bandha tha jis ko kahan wo mera git gaya
jamuna ganga ke sangam ki nili pili lahron mein
khat mein mere git tumhaare jiwan ka sangit gaya
raat ki rani ke sae mein pure chand ki aadhi raaten
duniya soti hum the jage pyar hamara jit gaya
kal socha tha kal mil lenge aaj ye socha kal dekhenge
tum se milne ki chahat mein sal ye sara bit gaya

50685 viewsghazal • English