un nigahon ko ajab tarz-e-kalam aata hai aisa lagta hai bahaaron ka payam aata hai marhala hota hai jab dar-o-rasan ka darpesh qura-e-fal hum aison hi ke nam aata hai ai mere naseh-e-mushfiq kabhi ye bhi socha kaun duniya mein khushi se tah-e-dam aata hai baada-noshi mein bhi hai kaif-e-sukun-bakhsh magar hae wo kaif jo be-minnat-e-jam aata hai apni hansti ka bhi ehsas jahan ho na sake aalam-e-hosh mein ek wo bhi maqam aata hai pesh-dasti hai kharabaat-e-jahan ka dastur takte rahne se kahin hath mein jam aata hai ahl-e-himmat ke hasin khwabon ki nikli tabir ibn-e-adam ko sitaron ka salam aata hai