un se kahta hun yaad kar mujhko
By vikas-naseebMarch 1, 2024
un se kahta hun yaad kar mujh ko
yaad karte nahin magar mujh ko
aashiyane pe aa giregi barq
yunhi rahne de dar-ba-dar mujh ko
main gaya jo tere bina wapas
kat khaega mera ghar mujh ko
so ke uthte hi main ne jam piya
sham lagti hai ab sahar mujh ko
haal aisa hua hai gham mein tere
mar ja kahta hai chaaragar mujh ko
yaad karte nahin magar mujh ko
aashiyane pe aa giregi barq
yunhi rahne de dar-ba-dar mujh ko
main gaya jo tere bina wapas
kat khaega mera ghar mujh ko
so ke uthte hi main ne jam piya
sham lagti hai ab sahar mujh ko
haal aisa hua hai gham mein tere
mar ja kahta hai chaaragar mujh ko
74864 viewsghazal • English