un se tanhai mein baat hoti rahi ghaebana mulaqat hoti rahi hum bulate wo tashrif late rahe khwab mein ye karamat hoti rahi kasa-e-chashm labrez hoti rahi us dariche se khairaat hoti rahi dil bhi zor-azmai se haara nahin garche har martaba mat hoti rahi sar bachae raha sabr ka saeban aasman se to barsat hoti rahi go mohabbat se hum ji churaate rahe zindagi bhar ye bad-zat hoti rahi shahr bhar mein phiraya gaya qais ko kuche kuche mudaraat hoti rahi jagte aur sote rahe hum 'shuur' din nikalta raha raat hoti rahi