unhen mujhse go kuchh shikayat nahin hai

By dr.-nareshOctober 29, 2020
unhen mujh se go kuchh shikayat nahin hai
ghazab hai ki phir bhi inayat nahin hai
pila de mujhe apne hathon se saqi
sakhawat mein koi nadamat nahin hai


sitam jaan-nisaron pe din raat karna
mohabbat nahin hai murawwat nahin hai
uf itna takabbur khudai ka dawa
buto tum ko khauf-e-qayamat nahin hai


karen aah-o-fariyaad kya hum qafas mein
ki aah-o-fughan ki ijazat nahin hai
azal se buton ki parastish hai hoti
naya ye tariq-e-ibaadat nahin hai


'naresh' un ke zulmon ka shikwa na hoga
ki fariyaad ki mujh ko aadat nahin hai
35210 viewsghazalEnglish