un ki aaraish se mere kaam ban jaenge kya dil ki gutthi shana-ha-e-zulf suljhaenge kya wasl ke wade se khush ho kar na mar jaenge kya nama-bar hansta hua aata hai khud aaenge kya qaidi-e-gham turbaton mein aur un ko ye khayal katne mein ek shab-e-furqat ke mar jaenge kya kaam apna kar chuke ahl-e-wafa shak hai to ho sar nahin baqi shahidon ke qasam khaenge kya arz-e-matlab ke liye ai dil zaban khulti nahin kuchh ishaare main karunga wo samajh jaenge kya hath idhar uthta nahin hai tar udhar baqi nahin denge wo kya aur hum daman ko phailaenge kya qissa-e-farhad-o-majnun kyun sunate ho hamein jab pareshani se matlab hai to ghabraen kya mehman-e-ku-e-jaanan ho ke dil betab hai main to samjhata nahin wo bhi na samjhaenge kya mast rahte hain hamesha mai-faroshan-e-jamal hum to mangenge koi saghar wo farmaenge kya kyun na chup baithun qafas mein dur hi fasl-e-bahaar aah-o-zari se meri mausam badal jaenge kya tinke tinke ka khuda-hafiz chale hum bagh se alwidaa ai aashiyan ab ja ke phir aaenge kya dil ki bimari ka uqda kholna dushwar hai jo nahin samjhe wo 'saqib' mujh ko samjhaenge kya