unki qismat sanwarta hun main

By achyutam-yadavOctober 12, 2024
un ki qismat sanwarta hun main
ek do logon ka khuda hun main
teri yaadon ke par katar ke hi
dil ke pinjre ko kholta hun main


faisle dil se leta tha sare
zehn ke shahr mein naya hun main
khamushi tha zaban walon ki
be-zabanon ki ab sada hun main


kis ne aawaz di hai pichhe se
kis ki khatir ruka hua hun main
ghaaliban sochta hun kafi kam
kuchh ziyaada hi sochta hun main


khud se aage nikal ke ai rahi
khud ko aawaz de raha hun main
barha karta hun haden main par
phir kahin panw dekhta hun main


jaane kitnon ki ho tumhin manzil
jaane kitnon ka rasta hun main
15366 viewsghazalEnglish