unT sab wapas phire aage koi sahra na tha

By prem-kumar-nazarNovember 12, 2020
unt sab wapas phire aage koi sahra na tha
naqsh-e-pa hi naqsh-e-pa the dur tak rasta na tha
apne andar kitne mausam aur bahar zardiyan
main fasil-e-jism mein jab tha to yun phika na tha


phir khajuron ke darakhton mein dhuan sa kis liye
aag jab tapi na thi aur qafila thahra na tha
kaghzi poshak mein wo ghar se jab bahar gaya
aasman par abr ban kar main abhi barsa na tha


har taraf bikhri hui reg-e-nadamat thi 'nazar'
jism ka chadhta hua dariya magar utra na tha
59504 viewsghazalEnglish