us dhoke ne toD diya hai itna mujhko
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
us dhoke ne tod diya hai itna mujh ko
ab kuchh bhi samjha leti hai duniya mujh ko
yaron ne kya khub junun ka tod nikala
sab ne mil kar chhod diya samjhana mujh ko
us ne mujrim thahraya to man gaya main
waise koi yaad nahin tha wa'da mujh ko
auron ki jaan main khatre mein dal na paya
kashti kashti dhund raha tha dariya mujh ko
is surat mein yar bhala kya kar sakte the
tod raha tha andar ka sannata mujh ko
mujh ko padhna mujhe samajhna kya lazim hai
jhum jhum ke band karo dohrana mujh ko

89105 viewsghazal • English