us ka chehra hai ki bhula hua manzar jaise

By salim-saleemFebruary 28, 2024
us ka chehra hai ki bhula hua manzar jaise
meri aankhon mein ye aansu bhi hain patthar jaise
ek saya mere qadmon se lipat jata hai
sham hote hi meri chhat se utar kar jaise


sahil-e-dil pe patakhta hai bahut sar apna
raat-bhar tere khayalon ka samundar jaise
ye alag baat ki dekha nahin us ko ab tak
phir bhi rahta hai mere sath wo aksar jaise


ghantiyan bajti hain ab zehn ke darwaze par
masjiden tut rahi hon mere andar jaise
zindagi qaid hun main apne badan ke andar
aur bulata hai koi jism se bahar jaise


48675 viewsghazalEnglish