us ka didar hua jashn manaya jae

By abhishek-tiwariOctober 24, 2023
us ka didar hua jashn manaya jae
hum ko bhi pyar hua jashn manaya jae
ek muddat se meri zindagi soi padi thi
bakht bedar hua jashn manaya jae


wo jo naseh tha tere 'ishq ki babat sain
mera gham-khwar hua jashn manaya jae
yahi dil jis ne ki tufan macha rakkha tha
achchha hai khwar hua jashn manaya jae


20979 viewsghazalEnglish