us musafir ke hare lafz asar-dar hue
By asim-qamarFebruary 25, 2024
us musafir ke hare lafz asar-dar hue
mere murjhae hue ped samar-bar hue
main samajhta tha bichhad jaana had-e-akhir hai
phir teri yaad ke aaseb numudar hue
dost dastak to kiwadon pe suni jati hain
aur hamein ek sadi ho gai diwar hue
warna hum mein bhi kharabi ki koi baat na thi
ek magar teri tamanna ke gunahgar hue
mausam-e-'ishq bhi aaya tha zamin-e-dil par
par wahi baat ke badlao lagatar hue
hum ne firqon ki salibon pe chadhae quran
aur khuda chhod ke bandon ke taraf-dar hue

90071 viewsghazal • English