us se kahun main haal-e-dil-e-dagh-dagh kya

us se kahun main haal-e-dil-e-dagh-dagh kya
hans kar jo ye kahe ki sajaya hai bagh kya

qabr ek khush-nasib ki phulon se at gai
yaron ke aansuon ne jalae charagh kya

wo multafit nahin hain to kya lutf-e-mai-kashi
ab hain nazar mein hech subu kya ayagh kya

wo mehrban na hon to khushi ka kise dimagh
dil mutmain na ho to gham-e-sair-e-bagh kya

shabnam ke girya se mera pahuncha kahan khayal
ghuncha hai sina-e-chamanistan ka dagh kya

'fitrat' mizaj-e-sher ki garmi na puchhiye
do sher kah ke jalne laga hai dimagh kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close