use bhi pad gaya ek din hamare nam se kaam tamam 'umr jo rakhta tha apne kaam se kaam karam ki baat hai ye to ki baadshahon ka nikal raha hai huzur aap ke ghulam se kaam hamare panw ke ye zakhm bhar diye jaen ki pad gaya hai hamein ek tez-gam se kaam sharab-e-‘ishq palat di kisi ne aankhon se chala raha tha wagarna main khali jam se kaam hai khub she'ri bunat aap ki magar 'sayyad' nazar mein chadhte nahin us ki itne 'am se kaam