use kaise karen swikar mohan

By vikas-sahajJanuary 5, 2024
use kaise karen swikar mohan
hamari ho gai hai haar mohan
samarpit zindagi kar di tumhein ab
tumhin is ka karo udhdhaar mohan


nirantar lad rahe hain hum sabhi se
hamein bhi to sikhao pyar mohan
hamari radhika hum ko pukare
kabhi ye swapn ho sakar mohan


khadi hai deh ki jab tak 'imarat
bane rahna sada aadhaar mohan
49486 viewsghazalEnglish