use KHabar bhi nahin gard-e-mah-o-sal hun main

By salim-saleemFebruary 28, 2024
use khabar bhi nahin gard-e-mah-o-sal hun main
badan ka bojh uthate hue nidhaal hun main
ye mera zakhm ki main bhi wujud rakhta hun
khud apne zakhm ki sozish ka indimal hun main


guzar rahe hain sabhi raundte hue mujh ko
teri gali mein koi naqsh-e-paemal hun main
jawab-e-bosa ne pechida kar diya hai magar
tere labon ke liye sahl sa sawal hun main


63393 viewsghazalEnglish