use khalaon ki wusaton ka tajraba hi nahin wo mere sath kabhi arsh tak gaya hi nahin main is ko aur hi aalam mein le gaya hota zamana ungli pakad kar meri chala hi nahin har ek chehre pe kitni ibaraten hain raqam meri jabin pe to kuchh waqt ne likha hi nahin bala-kashan-e-mohabbat mein hai shumar mera ye inkishaf to mujh par kabhi hua hi nahin ba-nam-e-jam-o-subu us ko rokna chaha tha waqt mujh se bhi chaalak wo ruka hi nahin qusur us ka nahin hai qusur mera hai main kam-nasibi ki tah tak kabhi gaya hi nahin ek aas zehn ke kone mein hai abhi mahfuz ye aur khilauna hai 'rahat' jo tutta hi nahin