use khud ko badal lena gawara bhi nahin hota hamara aisi duniya mein guzara bhi nahin hota hamein is mod par le aate hain ye khun ke rishte ki jine ke alawa aur chaara bhi nahin hota ye sare chand suraj un ke qadmon mein hi rahte hain hamare hath mein kyun ek tara bhi nahin hota dubo detin hamein dariya-e-mah-o-sal ki maujen is ek lamhe ka jo hasil sahaara bhi nahin hota tajjub hai ki hum akasr wahin par dub jate hain jahan se dur aankhon mein kinara bhi nahin hota sabhi ko shahar apna dilkash-o-dilchasp lagta hai agarche wo samarqand-o-bukhara bhi nahin hota ye kin na-ashna logon ki basti mein chale aae sukhan kaisa kahin se ek ishaara bhi nahin hota mukhalif mausam-e-dil hi nahin hota masafat mein muafiq kuchh 'salim' apna sitara bhi nahin hota