use malum hai sab kuchh wahi hai raaz-dan apna magar mujh se hi sunna chahta hai wo bayan apna yahan par shan jati hai wahan par jaan jati hai zamin chhuti to lagta hai ki chhuta aasman apna jo guzra hai so guzra hai jo aaega so aaega jo ab hai wo bhala kab hai koi lamha kahan apna main jis ke dil mein rahta hun main jis ki dhun mein raqsan hun wo apni dhun pe gata hai to hota hai guman apna wahan khamosh baithe the yahan to baat karte hain wahan kyun tha ziyan apna yahan kyon ho ziyan apna ye sadiyan bit jati hain magar lamhe nahin katte jo ghatta hai to badh jata hai kuchh bar-e-garan apna