use rah-guzar koi kha gai ya bichhaD ke apne hi ghar gaya

By samar-khanabadoshFebruary 29, 2024
use rah-guzar koi kha gai ya bichhad ke apne hi ghar gaya
wo jo 'umr-bhar ki rafaqaton ka tha mudda'i wo kidhar gaya
wo jo khwab the wo bikhar gae wo jo aas thi wo simat gai
mujhe khauf jis ka tha har ghadi mera ham-nawa wahi kar gaya


ye nae zamane ki rit hai teri kya khata tujhe kya kahun
tujhe dil se jis ne lagaya tha wahi tere dil se utar gaya
nai sohbaton ki suhani rut tujhe ras aae mubaraka
wo jo jurm tark-e-wafa ka hai zara soch kis ke wo sar gaya


nahin sahl 'ishq ki rah-guzar main alam-nasib-o-khata-sarisht
ai nae nae se musafiro jo chala to chal ke bikhar gaya
kabhi sehn-e-dil mein udasiyan jo badhin to saz mein dhal gain
kabhi gham jo meri asas hai meri chashm-e-tar mein thahar gaya


ai sharik-e-bazm na puchh bas wo jo ham-safar the wo kya hue
koi do qadam bhi na chal saka koi darmiyan se hi ghar gaya
meri zat musht-e-ghubar hai tera akhtaron mein shumar hai
zara ye bata ki bichhad ke tu kahan rif'aton pe thahar gaya


main phirun hun bar-e-jafa liye kabhi is dagar kabhi us nagar
ki 'samar' yahan ka riwaj hai jo bhi chup raha wahi mar gaya
85911 viewsghazalEnglish