use ujale ka KHatra satata rahta hai

By yasir-khanNovember 26, 2020
use ujale ka khatra satata rahta hai
pakad pakad ke wo jugnu bujhata rahta hai
duaen deta hai koi na bhik mange yahan
magar wo chaak pe kase banata rahta hai


hawa pe zor to chalta nahin hai jugnu ka
magar charagh ki himmat badhata rahta hai
wo shakhs jis ko abhi tairna nahin aata
wo dubne ke fawaed ginata rahta hai


khamoshiyon se bada rabt tha jise 'yasir'
wo canwas pe chikhen banata rahta hai
70730 viewsghazalEnglish