usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

By abdul-aleem-aasiOctober 6, 2022
usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha
main us ke waste kis waqt be-qarar na tha
koi jahan mein kya aur tarahdar na tha
teri tarah mujhe dil par to ikhtiyar na tha


khiram-e-jalwa ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul
kuchh aur is ke siwa mausam-e-bahaar na tha
ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga
ki mujh se badh ke to koi gunahgar na tha


lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin
koi libas na tha jo ki mustaar na tha
tu mahw-e-gulban-o-gulzar ho gaya 'asi'
teri nazar mein khayal-e-jamal-e-yar na tha


54988 viewsghazalEnglish