usi ki nur-afshani zamin se aasman tak hai nigahbani jahan ki us haqiqi pasban tak hai tarasti hain nigahen sabz gumbad ke nazare ko rasai bad-nasibon ki kahan us aastan tak hai qalam ki tez-raftari zaban ki garm-guftari nasihat mein asar hona kalam-e-khush-bayan tak hai chaman mein jab khizan aai na gul hai aur na bulbul hai nawa-e-bulbul-e-shaida bahaar-e-bostan tak hai agar wo dost sadiq hai to shikwa sun nahin sakta himayat shikwa beja ki kisi na-mehrban tak hai maza kya aise jine mein na jab tab-o-tawan baqi daraazi umr ki goya fuzul-e-dastan tak hai musibat aur rahat hain rafiq-e-zindagi 'kubra' rihai in rafiqon se nahin umr-e-rawan tak hai