usi ki raushni rahti hai is qadar mujh mein

By neena-saharNovember 11, 2020
usi ki raushni rahti hai is qadar mujh mein
jo us ke laut ke aane ki hai khabar mujh mein
chhua tha jin mein kabhi mujh ko teri chahat ne
wo lamhe jagte rahte hain raat bhar mujh mein


jo raste ke andheron se dar ke laut gaya
wo kash dekhta zinda thi ek sahar mujh mein
mujhe dara nahin sakti ye mushkilon ki dhup
abhi ummid ka baqi hai ek shajar mujh mein


tere wajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhatak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
99782 viewsghazalEnglish