usi ki zat ko hai daiman sabaat-o-qayam qadir o hai o karim o muhaimin o minam buruj barah mein la kar rakhi wo bariki ki jis ko pahunche na fikrat na danish o auham idhar farishta-e-karrobi aur udhar ghilman qalam ko lauh pe bakhshi hai taqat-e-irqam ye do hain shams o qamar aur sath un ke yar atarad o zuhal o zohra mushtari bahram jo chahen ek palak thahren ye so taqat kya phira karenge ye aaghaz se le ta-anjam bashar jo chahe ki samjhe unhen so kya imkan hai yan farishton ki aajiz aqul aur ifham nikale un se gul o mewa shakh o barg-o-bar sab us ke lutf-o-karam ke hain aam ye inam isi ke bagh se dil shad ho ke khate hain chhuhaare kishmish o injir o pista o baadam chamak raha hai usi ki ye qudraton ka nur bahr-zaman o bahr-saat o bahr-hangam ki us ka shukr karen shab se ma-ba-roz ada itaat us ki baja lawen subh se ta-sham 'nazir' nukta samajh mehr-o-fazl-e-khaliq ko isi ke fazl se donon jahan mein hai aaram