usi sahra ke hum bhi hain jahan diwane jate hain
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
usi sahra ke hum bhi hain jahan diwane jate hain
haqiqat ke ta'aqub mein jahan afsane jate hain
dar-o-diwar wale tum darun-e-khana wale hum
so tum masjid ki jaanib jao hum maikhane jate hain
unhen ye fikr un ke shahr ki tausi' kaise ho
mujhe tashwish mere hath se virane jate hain
hamara dasht kya sarsabz hai aab-e-nadamat se
ki sare ahl-e-shahr aksar wahin pachhtane jate hain
wo mitti ka badan hai ya koi jadu ki pudiya hai
usi lamhe nahin hota jab us ko pane jate hain
wahin shayad koi agli shanasai ki mahfil ho
to chal dete hain hum bhi jis taraf begane jate hain
andheri raat thi barish thi aur masjid ka darwaza
to dekha 'farhat-ehsas' ek dam mastane jate hain

13485 viewsghazal • English