us ke chehre pe tabassum ki ziya aaegi wo mujhe yaad karega to haya aaegi odh kar jism pe yaadon ki rida aaegi jab bhi mazi ke jharokon se hawa aaegi kaun mazlum ki fariyaad sunega na-haq laut kar dasht mein khud apni sada aaegi kis qadar bikhra hua hun main bichhad ke tujh se yaad ab kis ki mujhe tere siwa aaegi band kamron mein kisi ko bhi ye ehsas na tha dar khulenge to bahut tez hawa aaegi ghair-manus fazaon mein to khush hun lekin jaane kis mod pe manus faza aaegi nam to apna gunahgaron ki fihrist mein likh tere hisse mein bhi rangin qaba aaegi zindagi sab se juda guzregi apni 'anjum' maut bhi aai to wo sab se juda aaegi