us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andhera hoga pyas jis nahr se takrai wo banjar nikli jis ko pichhe kahin chhod aae wo dariya hoga mere bare mein koi rae to hogi us ki us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga