uske siwa har ek ki mushkil mein jaan hai
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
us ke siwa har ek ki mushkil mein jaan hai
dar-asl sirf bazu-e-qatil mein jaan hai
ek sach bhi gar zaban se nikle to log-bag
chilla ke daud padte hain bismil mein jaan hai
is khud-aziyyati ko mohabbat kahega kaun
achchha hun meri jaan ki mushkil mein jaan hai
is ek sada ki gunj rahegi gali-gali
zinda rahega shahr ki sail mein jaan hai
zakhmi shikar jaan bacha kar nikal gaya
ya'ni shikariyon ki bhi mushkil mein jaan hai
samjha ke haar haar gaya jal-pari ko main
ab bhi samajh rahi hai ki sahil mein jaan hai

84260 viewsghazal • English