us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kahna pade aise jine se to mar jaane ko ji chahta hai ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai qarz tute hue khwabon ka ada ho jae zat mein apni bikhar jaane ko ji chahta hai apni palkon pe sajae hue yaadon ke diye us ki nindon se guzar jaane ko ji chahta hai ek ujde hue viran khandar mein 'azar' na-munasib hai magar jaane ko ji chahta hai