uski khiDki se raushni aai
By fahmi-badayuniFebruary 26, 2024
us ki khidki se raushni aai
shahr mein phir se zindagi aai
jab khayalat ho gae budhe
tab mohabbat pe kam-sini aai
wo na bola to aaj kanon mein
jo sada aai ajnabi aai
baqi sab shahr ho gaya ghaeb
samne jab teri gali aai
mujh ko aaya na hath phailana
mere hisse mein sha'iri aai
is liye bhi karahta hun main
koi aawaz de abhi aai
gar hawa aai bhi shab-e-furqat
to charaghon ko dhundhti aai
shahr mein phir se zindagi aai
jab khayalat ho gae budhe
tab mohabbat pe kam-sini aai
wo na bola to aaj kanon mein
jo sada aai ajnabi aai
baqi sab shahr ho gaya ghaeb
samne jab teri gali aai
mujh ko aaya na hath phailana
mere hisse mein sha'iri aai
is liye bhi karahta hun main
koi aawaz de abhi aai
gar hawa aai bhi shab-e-furqat
to charaghon ko dhundhti aai
79996 viewsghazal • English