uski KHwahish thi ki dar chhoD dun dar chhoD diya
By nitin-kabirOctober 25, 2023
us ki khwahish thi ki dar chhod dun dar chhod diya
laut aaya main bhi wapas wo nagar chhod diya
phir asar kar na saki un pe to koi bhi dawa
teri in aankhon ne jin jin pe asar chhod diya
kal utha laya tha main khud ko udas aangan se
main ne aansu ki rifaqat pe guzar chhod diya
koi rasta to yahan se kahin jata hi nahin
mere rahbar ye tu ne mujh ko kidhar chhod diya
khamushi bol uthi dekh ke tanha mujh ko
tu ne kya dil mein utarne ka hunar chhod diya

26392 viewsghazal • English