us ki nahin khudai ki us ka khuda nahin tum jis ko mil gae use phir kya mila nahin sajde se sar uthane ko ji chahta nahin ab ya to hum nahin dar-e-dildar ya nahin ek paikar-e-khayal ki allah re mahwiyat main khud bhi ab nigah mein apni raha nahin mahshar nisar us nigah-e-sharmsar par kahna pada khuda se ye qatil mera nahin wo tinke jab uthae jala dale barq ne gulshan mein aashiyan kabhi apna bana nahin hadd-e-nigah kab teri rifat ko pa sake jalwa tera muqayyad-e-arz-o-sama nahin darkar hai nigah-e-karam warna ai karim mere liye khazana-e-qudrat mein kya nahin nazren juda juda hain khayalat mukhtalif meri nazar se koi nahin dekhta nahin ek waqfa-e-hayat hai duniya hai jis ka nam itni si kaenat ko main chahta nahin is e'tina ki dad bhi ai be-niyaz-e-khalq mera sar-e-niyaz kahin par jhuka nahin andaza-e-jamal ba-qadr-e-nigah hai chashm-e-kalim jalwa-taraaz-e-ada nahin tu hi bata ki jae kahan tujh ko chhod kar 'afqar' tera gada hai kisi ka gada nahin