us ko bhi hum se mohabbat ho zaruri to nahin ishq hi ishq ki qimat ho zaruri to nahin ek din aap ki barham-nigahi dekh chuke roz ek taza qayamat ho zaruri to nahin meri shamon ko hawaon ne bujhaya hoga ye bhi un ki hi shararat ho zaruri to nahin ahl-e-duniya se marasim bhi baratne honge har nafas sirf ibaadat ho zaruri to nahin dosti aap se lazim hai magar is ke liye sari duniya se adawat ho zaruri to nahin pursish-e-haal ko tum aaoge us waqt mujhe lab hilane ki bhi taqat ho zaruri to nahin saikdon dar hain zamane mein gadai ke liye aap hi ka dar-e-daulat ho zaruri to nahin bahami rabt mein ranjish bhi maza deti hai bas mohabbat hi mohabbat ho zaruri to nahin zulm ke daur se ikrah-e-dili kafi hai ek khun-rez baghawat ho zaruri to nahin ek misra bhi jo zinda rahe kafi hai 'saba' mere har sher ki shohrat ho zaruri to nahin