usko tanha jis ghaDi pate hain hum

By khanjar-ajmeriiMay 7, 2022
us ko tanha jis ghadi pate hain hum
muztarib ho kar palat jate hain hum
yaad kar ke tere lab ghuncha-dahan
zindagi se tang aa jate hain hum


be-sabab baithe-bithae apna dil
de ke us dilbar ko pachhtate hain hum
mana karne par bhi dil ko de diya
dil ke dene ki saza pate hain hum


dekh kar ghairon ko us ke ird-gird
khud-bakhud mahfil se tal jate hain hum
kahte hain maqtal mein mujh se ho ke shad
raqs-e-bismil aaj dikhlate hain hum


'khanjar'-e-abru ko teri dekh kar
ai sitamgar qatl ho jate hain hum
78320 viewsghazalEnglish