us ne hamare hath mein ek hath kya diya kuchh der to hatheli pe jalta raha diya main us ke intizar mein khoi kuchh is tarah aankhen huin charagh to ghar tha diya diya aangan mein jaise ek charaghan sa ho gaya aisa kahan se lai thi shab ko hawa diya dil ki tamam raunaqen us ke hi dam se thin duba jo chand hum ne diya hi bujha diya hum chahte the mah-e-darakhshan ko dekhna us ne hamein dariche se chehra dikha diya wo muddaa-shanas tha mera kuchh is tarah kuchh sochne se pahle hi ye kah diya, diya