usne jina sikha diya mujhko
By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
us ne jina sikha diya mujh ko
ya thikane laga diya mujh ko
yun chala zor 'aql ka us par
ek pal mein bhula diya mujh ko
main ne jine ka khwab kya dekha
zindagi ne sula diya mujh ko
kyon basaya tha apne dil mein mujhe
kyon nazar se gira diya mujh ko
ek zara hosh hi sanbhaala tha
hostel mein basa diya mujh ko
phir zara aankh hi ladai thi
campus se utha diya mujh ko
meri ek she'r ki thi farmaish
sara diwan suna diya mujh ko
ya thikane laga diya mujh ko
yun chala zor 'aql ka us par
ek pal mein bhula diya mujh ko
main ne jine ka khwab kya dekha
zindagi ne sula diya mujh ko
kyon basaya tha apne dil mein mujhe
kyon nazar se gira diya mujh ko
ek zara hosh hi sanbhaala tha
hostel mein basa diya mujh ko
phir zara aankh hi ladai thi
campus se utha diya mujh ko
meri ek she'r ki thi farmaish
sara diwan suna diya mujh ko
43147 viewsghazal • English