usne kya kya nahin diya mujhko

By fahmi-badayuniFebruary 6, 2024
us ne kya kya nahin diya mujh ko
chain phir bhi nahin mila mujh ko
kal shab-e-hijr sharmsar hui
tu nahin hai nahin laga mujh ko


ab kitabon se kuchh nahin hoga
mar dalega tajraba mujh ko
sochta hun ki ab kahan jaun
tu bhi pagal na kar saka mujh ko


mujh se aage nahin nikal sakta
wo nahin dega rasta mujh ko
main jo badhta hun sar-waraq ki taraf
khinch leta hai hashiya mujh ko


main chhupa rahta zindagi mein aur
tu kahin aur dhundta mujh ko
main wahi shor likhta rahta hun
jis ne khamosh kar diya mujh ko


75988 viewsghazalEnglish