uthaenge koi taza qayamat tan ke baithe hain bigadenge hazaron ghar ki wo ban-than ke baithe hain hamare qatl se nahaq hain nadim apne ghar jaen jhukae sar abas ab samne madfan ke baithe hain uthaya hijr mein tufan kya kya chashm-e-giryan ne ye dekho baam-o-dar kaise mere maskan ke baithe hain qasam khai thi milne ki adu ke kuchh to sharmao ye tum baithe ho ya pahlu mein hum dushman ke baithe hain nikalne hi nahin dete hain kante dasht-e-wahshat se pakadne wale har jaanib mere daman ke baithe hain