utho rida-e-raunat ko tar tar karen khuda ke nam pe insaniyat se pyar karen chalo chaman mein charaghan ba-sad waqar karen badho hayat ke daman ko lala-zar karen nai fazaen nai nikhaten nai rahen gul-e-murad se daman ko mushk-bar karen bhatak na jae ye insan aaj rahon mein nishan-e-manzil-e-maqsud ustuwar karen ufuq ke par jo mauj-e-shamim bikhri hai usi se ghuncha-e-khatir ko mushk-bar karen falak pe aaj sitaron ko dhundne wale meri nazar ke sitaron ka kuchh shumar karen 'aziz' aaj gham-e-dil ki dastan kah kar wo chahte hain zamane ko sogwar karen