uthti kabhi kabhi hai koi tis hae dil mal-o-mata' kuchh bhi nahin the siwae dil phirti hain mere samne jab suraten kai phir kis ko yaad rakkhe kise bhul jae dil waqt-e-wida' yar tahammul se kaam le ab khud ko kis tarah se yun patthar banae dil ho kuchh bhi muztarib ye magar dil to hai nahin barq-e-tapan hai sine mein shayad bajae-dil hoti hain kaisi kaisi yahan lal-kariyan apna asar dikhati hai jab karbala-e-dil tabdil kar diya hai har ek taur 'ishq ne mahfil se ji churae to sahra mein gae dil