utra jo iltifat ka dariya na tha kabhi

utra jo iltifat ka dariya na tha kabhi
dil is qadar bhi hijr ka mara na tha kabhi

sarmaya-e-hayat the farda ke khwab so
likha bisat-e-jaan pe khasara na tha kabhi

bikhra wo khak ho ke meri rahguzar mein
jo shakhs aa ke khwab mein milta na tha kabhi

tanhai khauf ye shab-e-dijur ye ghutan
guzregi aise qabr mein socha na tha kabhi

ek aan mein ye paikar-e-khaki bikhar gaya
ye saneha to ruh pe guzra na tha kabhi

mastur tha hijab-e-taqaddus mein soz-e-ishq
aawaza-e-khiram-e-tamanna na tha kabhi

nasur ban ke ruh ko ghayal kiye gaya
jo ashk chashm-e-nam ne giraya na tha kabhi

to ye na justuju hai na zauq-e-junun-e-ishq
viran aisa shahr-e-tamanna na tha kabhi

'anjum' ye shab-gazida sahar kyun nasib mein
main ne charagh-e-shauq bujhaya na tha kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close