uzr aane mein bhi hai aur bulate bhi nahin

By dagh-dehlviMarch 22, 2024
uzr aane mein bhi hai aur bulate bhi nahin
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin
she is loth to come to me and keeps me well away
the cause for this hostility


she does not care to say
muntazir hain dam-e-rukhsat ki ye mar jae to jaen
phir ye ehsan ki hum chhod ke jate bhi nahin
she bothers not i live or die


awaits my dying breath
and even a favour does imply
that she's not gone away
sar uthao to sahi aankh milao to sahi


nashsha-e-mai bhi nahin nind ke mate bhi nahin
at least do lift your face and let your eyes look into mine
no wine that stupefies as yet nor sleep that holds in sway
kya kaha phir to kaho hum nahin sunte teri


nahin sunte to hum aison ko sunate bhi nahin
what you just said do say once more
i will pay you no heed
to all of those


who thus ignore i have no words to say
khub parda hai ki chilman se lage baithe hain
saf chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin
what coyness this is


to abide
a screen beside her face
which neither does she clearly hide nor openly display
mujh se laghar teri aankhon mein khatakte to rahe


tujh se nazuk meri nazron mein samate bhi nahin
while you profess my ugliness does irritate your sight
and in my eyes your daintiness
can't be contained i say


dekhte hi mujhe mahfil mein ye irshad hua
kaun baitha hai use log uthate bhi nahin
noticing my presence near
she asks of those around


say who is this intruder here? and who has let him stay?
ho chuka qata talluq to jafaen kyun hon
jin ko matlab nahin rahta wo satate bhi nahin
if all relations have been spurned


then why this cruelty?
those that are really unconcerned
don’t trouble you this way
zist se tang ho ai 'dagh' to jite kyun ho


jaan pyari bhi nahin jaan se jate bhi nahin
daag if you're tired of this strife
why then remain alive?
as neither do you love your life nor do you leave the fray


14679 viewsghazalEnglish