viran sarae ka diya hai

By obaidullah-aleemFebruary 1, 2024
viran sarae ka diya hai
jo kaun-o-makan mein jal raha hai
ye kaisi bichhadne ki saza hai
aaine mein chehra rakh gaya hai


khurshid misal shakhs kal sham
mitti ke supurd kar diya hai
tum mar gae hausla tumhaara
zinda hun main ye mera hausla hai


andar bhi zamin ke raushni ho
mitti mein charagh rakh diya hai
main kaun sa khwab dekhta hun
ye kaun se mulk ki faza hai


wo kaun sa hath hai ki jis ne
mujh aag ko khak se likha hai
rakkha tha khala mein panw main ne
raste mein sitara aa gaya hai


shayad ki khuda mein aur mujh mein
ek jast ka aur fasla hai
gardish mein hain kitni kaenaten
bachcha mera panw chal raha hai


53816 viewsghazalEnglish