wa chashm-e-tamasha lab-e-izhaar sila hai koi pas-e-diwar mujhe dekh raha hai mitti to meri mar bhi chuki zinda sada hai main chup hun magar dard mera bol raha hai ashkon ka hujum aaj jise dhund raha hai wo dard ke dariya mein kahin dub gaya hai kya zahr sa har samt fazaon mein ghula hai jo chehra bhi dekho wahi utra sa hua hai ab khun ke ashkon se chaman sinchna hoga bhige hue mausam ne ye paigham diya hai wa honton se kya bolun ki aankhen to sili hain sahraon mein yaron ne mujhe chhod diya hai guzri hui kal ke hue sikke sabhi khote jo aaj ka sikka hai wahi qibla-numa hai kab dahla hai aafat-e-zamana se mera dil tufanon ko aana hai to darwaza khula hai logon ne to suraj ki chaka-chaund ko puja main ne to tere sae ko bhi sajda kiya hai