wadi-e-kun se gham-e-marhala-paima nikla meri kashti ko liye waqt ka dariya nikla pa-e-idrak mein chubhta hua kanta nikla ishq ke dam mein khud apna sarapa nikla mehnat-e-ahl-e-wafa aa hi gai kaam aakhir har shigaf-e-gham-e-hasti se sawera nikla aql ko naz tha had-bandi-e-khair-o-shar par dil ne jaancha to har ek kaam adhura nikla us se milne ki faza saf nahin thi koi har guzargah pe ehsas ka pahra nikla tishnagi main ne bujha li ye hunar tha warna khizr ka dil bhi rah-e-umr mein pyasa nikla khwab dekha tha kahan chamki hai tabir kahan hashr ka din meri fitrat ka ujala nikla maut ki had mein bhi mujh ko na diya izn-e-qayam sakht mushkil teri nazron ka taqaza nikla mauja-e-nikhat-e-gesu jise samjha main ne wo bhi mere nafas-e-sard ka jhonka nikla main tahi-dast hun bazar-e-wafa mein 'kausar' sikka sikka zar-e-ummid ka khota nikla