wafa ka sar pe mere saeban rahne de
By sapna-jainFebruary 29, 2024
wafa ka sar pe mere saeban rahne de
meri zamin pe tera aasman rahne de
sabhi ke samne sach ka bakhan rahne de
jo bad-guman hain unhen bad-guman rahne de
kaho na jakde riwayat ki bediyon mein mujhe
meri tarah hi mujhe khandan rahne de
amir-e-shahr chalegi teri hi marzi to
‘adalaton mein gawahi bayan rahne de
wo ham-safar na bane ye qubul hai mujh ko
du'a salam to par darmiyan rahne de
tamam 'umr ka mehman na ban mera lekin
kuchh ek din to tera mezban rahne de
meri zamin pe tera aasman rahne de
sabhi ke samne sach ka bakhan rahne de
jo bad-guman hain unhen bad-guman rahne de
kaho na jakde riwayat ki bediyon mein mujhe
meri tarah hi mujhe khandan rahne de
amir-e-shahr chalegi teri hi marzi to
‘adalaton mein gawahi bayan rahne de
wo ham-safar na bane ye qubul hai mujh ko
du'a salam to par darmiyan rahne de
tamam 'umr ka mehman na ban mera lekin
kuchh ek din to tera mezban rahne de
34599 viewsghazal • English