wafa ke nam pe rakkhi hain tohmaten kya kya bigad di hain zamane ne suraten kya kya hamin pe dosh hai un ki qaza namazon ka janab-e-shaikh ne dhundin wazahaten kya kya bade khulus se ek shahr-e-gul ujad liya hui hain ahl-e-nazar se himaqaten kya kya fareb-e-sim-o-jawahar hue hain nam-o-numud khayal-e-yar se uljhi hain zulmaten kya kya wo mehrban to na tha par khulus bhi na raha padi hain ghair ki sohbat mein aadaten kya kya zaban-e-qatil-o-maqtul par hai ek hi nam khuda ke nam pe guzrin qayamaten kya kya badha ke halqa-e-rindan ki ranjishen 'khalid' sitamgaron ne nikali hain hasraten kya kya