wafa na un ke na apne hi bas mein kya kije

By aziz-qaisiSeptember 3, 2022
wafa na un ke na apne hi bas mein kya kije
asir-e-bahr hain tinkon se kya gila kije
hisar-e-sang se takra ke mar to sakte hain
najat samne hai kuchh to hausla kije


bahut dinon se nahin koi zindagi ka jawaz
badal ke lafz wahi wada phir ata kije
pahad katne walon ko koi samjha de
ki ho sake to kisi dil mein rasta kije


palak pe thahri hui shab pighal ke bah jae
kisi udas fasane ki ibtida kije
na yun ho lash ke purze khala mein kho jaen
zamin ka khatma-bil-khair ho dua kije


isi ko apna kafan kijiye aur so rahiye
ye shab na guzregi 'qaisi' khuda-khuda kije
44184 viewsghazalEnglish